Wednesday, July 13, 2011

ek Udaan


"Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein

Bichhi hui hain lamhon ki lawn par.

Nange pair unpar chalte-chalte

Itni door chale aaye

Ki ab bhool gaye hain

Joote kahan utaare the.

Aedi komal thi, jab aaye the.

Thodi si naazuk hai abhi bhi.

Aur nazuk hi rahegi

In khatti-meethi yaadon ki shararat

Jab tak inhe gudgudati rahe.

Sach, bhool gaye hain

Ki joote kahan utaare the.

Par lagta hai,

Ab unki zaroorat nahin"

No comments:

Post a Comment